*Ilm E Hadees*
*Sabaq 1*
*Hadees Ki Tareef*
*Hadees :*
*Lugvi Maani : “ Nayi Cheez” , Aur “Baat Karna”*
*Istelahi Maani : Huzur ﷺ K Qaul ,Fayl ,Taqreer Ya Sifat Wa Haal Ko Hadees Kehte Hai, Aur Kabhi Isko “Khabar” Bhi Kehte Hai.*
*Lekin Baaz Muhaddiseen Ne Hadees Aur Khabar Me Aam Aur Khaas Ka Farq Kiya Hai , Yaani Inke Nazdeek Har Hadees Khabar Hai Lekin Har Khabar Hadees Nahi Hai.*
*Tambhi : Khabar Aur Hadees , Umooman Huzur ﷺ K Qaul , Fayl Aur Taqreer Per Bola Jaata Hai, Aur Asr , Umooman Sahaba (رضی اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین) K Qaul , Fayl Aur Taqreer Per Bola Jaata Hai.*
*इंशाअल्लाह हदीस की जानकारी के 40 सबक होंगे*
To be continue………..
इल्मे हदीस की जानकारी को समझने के लिए हमारी इस पोस्ट फॉलो करिये, इंशाअल्लाह इल्म में बेहतर इज़ाफ़ा होगा